Ghar Se Door Lyrics

Ghar Se Door Lyrics – Badshah | The Power Of Dreams Of A Kid

Ghar Se Door Lyrics

Ghar Se Door Lyrics from a music album The Power Of Dreams Of A Kid composed by Badshah and sung by Badshah himself. Ghar Se Door Lyrics were written by Badshah.



Lyrics

Baitha hu mai flight mein
Manager hai side mein
Taare meri side mein
Jaga poori night mai

Khaali baithun jo mai
Hoti anxiety
Pagal wagal lagta hai
Kya bolegi society

Apni bachchi se door hu
Dekha nahi kab se
Kaam kaam kaam bas
Door hua sabse

Mummy ka phone kaatu
Kabhi kabhi papa ko daantu
Karun seedhe munh na baat mai
Bhoola apni aukaat mai
Hua barbaad mai

Jagun poori raat mai
Koi nahi sath mein
Jagun poori raat mai
Apni hi yaad mein

Jagun poori raat mai
Dekhun apne hath mai
Jagun poori raat mai
Apni hi yaad mein

Aye aye
6 shehron mein ghar
Phir bhi ghar se hu door mai
Mauj mai karta hu
Ya hu majboor mai

Kya hi karunga hoke
Itna mash-hoor mai
Jo mitti mein hi milna hai
Sabne

Sounga tabhi to
Dekh paunga mai sapne
Iss zindagi se ab
Sar laga khapne

Jaane kyu log
Mera naam lage japne
Jinse mila bhi nahi unki bhi
Rai hai mere baare mein

Log afwaah hain failayein
Mere baare mein
Jalne wale gaane banayein
Mere baare mein

Mere maa-baap ko baatein
Batayein mere baare mein

Aye

Itna to naam nahi
Jitna badnaam hoon
Phir bhi sab kuchh
Karta sareaam hoon

Gaaliyan sun ke bhi
Rehne laga calm hoon
Naam Badshah par
Apne fame ka ghulaam hoon

Public figure hu
Public property nahi
Mai logon ke ravaiye se
Thoda hairan hoon

Bilkul tujh jaise
Mujhmein bhi dil hai
Log bhool jaate hain ki
Mai bhi insaan hoon

Jagun poori raat mai
Koyi nahi sath mein
Jagun poori raat mai
Apni hi yaad mein

Jagun poori raat mai
Dekhun apne hath mai
Jagun poori raat mai
Apni hi yaad mein

Top pe khada hu
Phir phi rone ka man hai
Bhaag ke thak gaya hu
Sone ka man hai

Jo bhi kamaya
Sab khone ka man hai
Ekdum se hi gayab
Hone ka man hai

Yeh zindagi bhool jaane
Ka man hai
Phir se wapis school
Jaane ka man hai

Duniya ke liye
Mar jaane ka man hai
Mera wapas
Ghar jaane ka man hai