Bhagwan Aur Khuda Lyrics

Bhagwan Aur Khuda Lyrics – Manoj Bajpayee | Lijo George

Bhagwan Aur Khuda Lyrics

Bhagwan Aur Khuda Lyrics from a poem written by Milap Milan Zaveri and narrated by Manoj Bajpayee. Music for Bhagwan Aur Khuda was given by Lijo George.



Lyrics

Bhagwan aur Khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Ke haath jode ho
Ya dua mein uthe
Koyi farak nahi padta hai
Koyi mantra padhta hai
Toh koyi namaaz padhta hai

Insaan ko kyu nahi
Aati sharam hai
Jab woh bandook dikha
Kar poochhta hai
Ki kya tera dharam hai

Uss bandook se nikli goli
Na eid dekhti hai na holi
Sadak pe bas sajti hai
Begunah khoon ki rangoli

Bhagwan aur Khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Sab ko hum dono ne
Issi mitti se banaya
Koi janma ammy ki kokh se
To koyi maa ke god mein rota aaya
Kon hai woh kambakht
Jisne nafrat ka paath padhaya

Kisi akbar ko kaha
Maa ko maar
Aur amar ko haatho
Ammi ko marwaya

Mamta ka gala
Goth ne wale bewkoofon ko
Koi samjhaao
Mazhub ki is jang mein
Tumne insaniyat ko dafnaya

Bhagwan aur Khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Poem – Bhagwan Aur Khuda
Narrator – Manoj Bajpayee
Poet – Milap Milan Zaveri
Music – Lijo George
Music LabelT-Series

Play it on Spotify